Bollywood movies have been an inspiration for a lot of things in our lives. Be it love or life advice- it has influenced us to do many things or rather, has given us many perspectives about many things. I mean, how can we forget? Gabbar from Sholay, Poo from K3G, or even Mogambo Khush Hua. So not just stories, a lot of things from Bollywood have stayed with us, and today we look at some of the iconic Bollywood dialogues.
1. Om Shanti Om
Itni shiddat se maine tumhe paane ki koshish ki hai, ki har zarre ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai.
2. Swades
Main nahi maanta hamara desh duniya ka sabse mahaan desh hai, lekin yeh zaroor maanta hoon, ki hum mein kabiliyat hai, taqat hai, apne desh ko mahaan banane kia.
3. Masaan
Saala ye dukh kahe khatam nahi hota hai be.
4. Veer-Zaara
Lekin kabhi bhi, Kabhi bhi ek dost ki zarurat pade to yaad rakhiyega. Sarhad paar ek aisa shaks hai jo aapke liye apni jaan bhi de dega.
5. Ae Dil Hai Mushkil
Ek Tarfa Pyar Ki Taqat Hi Kuch Aur Hoti Hai.. Auron Ke Rishton Ki Tarah Yeh Do Logon Mein Nahi Bat’ti, Sirf Mera Haq Hai Ispe.
6. Yeh Jawaani Hai Deewani
Jitna bhi try karo Bunny life me kuch na kuch toh chhootega hi. Toh jahaan hai wahin ka mazaa lete hai.
7. Chak De India
Vaar karna hai toh samne waale ke goal par nahi; samnewaale ke dimag par karo; goal khud-ba-khud ho jayega.
8. Raanjhanaa
Mere seene ki Aag yaa toh mujhe zinda kar sakti thi ya fir Mujhe Mar sakti thi, Par Saala ab uthe kaun , kaun phir se mehnat kare dil lagane ko , dil tudwane ko, abe koi toh aawaz de ke rok lo, ye jo ladki murda si aanke liye baithi he bagal me , “Aaj bhi Haan bol de toh mahadev ki kasam wapas aa jayenge” par nai ab saala mood nahi ,aankhe moond lene mehi sukh hai.. so jane me hi bhali he , par uthenge kisi din ussi ganga kinare damru bajane ko unhi banaras k galiyo me doud jane ko kisi Zoya ke ishq me phir se padh jaane ko
9. Neerja
Babu Moshai, Zindagi Badi Honi Chahiye, Lambi Nahi.
10. Dear Zindagi
Hum sab kuch ek rishte se expect karte hain. We can have friends who like coffee as us, kisi ki music choice humare jaise hogi, kisi se books discuss karenge. But jab sare rishto ka bojh ek rishte par aa jata hai, to wo pura nai ho pata.
11. Jab Tak Hai Jaan
Har Ishq ka ek waqt hota hai. Wo humara waqt nahi tha. Iska ye Matlab nahi ke wo Ishq nahi tha…
12. Kal Ho Naa Ho
Jiyo! Khush Raho! Muskurao! Kya Pata Kal Ho Naa Ho.
13. Love Aaj Kal
Jaane se pehle ek aakhri baar milna zaruri kyu hota hai?
14. Yeh Jawaani Hai Deewani
I love you toh sirf shuruat hoti hai. Phir kya hota hai? Woh do log un teen shabdon ko sambhal nahi paate.
15. Bajirao Mastani
Aap humse hamari zindagi maang lete hum aapko khushi khushi de dete; par aapne toh humse hamara guroor cheen liya.
15. Race 3
Our business is our business, none of your business.
Read more: Life Lessons We Learned From Our Favourite Supporting Characters From Bollywood Movies.