Meena, from Kota Factory, is one of the most loved characters from the show, thanks to his endearing antics and hilarious dialogues.
Throughout the two seasons, he leaves you impressed with his strong sense of loyalty, while also making you laugh with his unique insights. Here are some of his best dialogues that left a smile on our faces:
1.
Tum ameer log kabhi bhi cake kha lete ho na?…. 7 saal ho gaye mujhe cake khaaye hue.
2.
Aapke vichar kitne pavitra hai na? Ekdum meri tarah.
3.
When Meenal asks him about his complete name:
Meena hi toh surname hai. Naam hai Balmukund Meena. Par na sab pyaar se Meena, Meena hi bulate hain.
4.
Sahi bolu na, toh Jeetu bhaiya election mein khade nahi hote bas. Varna unse badhiya koi candidate hi nahi tha.
5.
Syllabus ka sawaal thodi hai jo puchunga. Ek ne kahi, duje ne maani; Nanak ne kaha dono gyaani.
6.
When talking about Shivangi, Uday’s girlfriend and his friend.
Badi achchi mahila hain. Mitr Uday ji ki hain, par sneh mujhse zyada karti hain.
7.
Flamingo padh le. Mann bhi behel jaega, aur Boards ki bhi taiyyari hogi. Kahaaniyan hai ismein.
8.
Teachers ma-baap samaan hote hain. Aise toh unka bhi feedback de maaro, ki “Pitaji, aap up-to-the mark baap nahi hai. Toh aaj se Tauji aapke kamre mein soyenge.”
9.
Dosti koi revision thodi hai, jo karni hi hai.
10.
When he defends Jeetu bhaiya in front of Deepak sir:
Deepak sir, aap apne padd ka durupyog mat kijiye. Aap jante bhi nahi uss vyakti ke baare mein. Pathar mein Jeetu bhaiya likh kar Chambal mein fenkenge na, pathar toh pathar, tairega. Kaise? Aapke samajh mein nahi aaega. Aapki domain ke bahar ki baat hai. Aage se humare samaksh uss aadmi ke baare mein kuch nahi kahiyega, varna…
11.
Meena experiencing his first crush/infatuation:
Ajeeb se chitr ghumte rehte hain dimag mein, mann ghabrata rehta hai. Dhadkane badh jaati hai, paseena aane lagta hai, gala sukh jaata hai bhai. Jeetu bhaiya ki aawaaz dheemi hone lag jaati hai. Main apna dhyan kendrit hi nahi kar paata Jeetu bhaiya ki class mein.
12.
Meena, talking to Vaibhav about how much he loves Vaibhav’s mom’s cooking:
Aapki mata ji kitna swadisht bhojan banati hain. Uss din matar paneer khane ka baad maine kuch nahi khaya, taaki muh mein swaad bana rahe. Mat bhej yaar Vaibhav.
All images are screenshots from Netflix, unless specified otherwise.